DIL E NADAN BY MIRZA GALIB
Dil e nadan tughe hua kya hei
Akhir iss dard ki dava kya hei
Hum hei mushtaaq or wo be zaar
Yaa ilaahi ye maajra kya hei
Main bhi muu mein zabban rakhta hon
Kash pucho ke mudaa aa kya hei
Jab ke tugh bin nahi koi mujood
Phir ye hangama ae khuda kya hei
Ye pari chehra log kase hein
Ghamza o ishwa o ada kya hei
Shikan e zulf e ambreen kyu heu
Nigha e chasma e surma sa kya hei
Saabza o gul kahan se aye hein
Abrkya hei cheez hei huwa kya hei
Ham ko un se hei wafa ki umeed
Jo nahi jante wafa kya hei
Han bhala ker tera bhala hoga
Aur darvesh ki sadaa kya hei
Jan tum per nisar kerta hun
Mei nahi janta dua kya hei
Mane mana ke kush nahi Galib
muft hath aye to bura kya hei
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
0 comments:
Post a Comment